Mera Aapki Kripa Se lyrics Mera aapki kripa se sab kaam ho raha hai Karte ho tum kanhaiya mera naam ho raha hai
Patwaar ke bina hi meri naav chal rahi hai Hairan hai zamana manzil bhi mil rahi hai Karta nahi mein kuch bhi sab kam ho raha hai Karte ho tum kanhaiya
Tum saath ho jo mere kis cheez ki kami hai Kisi aur cheez ki ab darkaar hi nahi nahi hai Tere saath se Gulam ab Gulfam Ho raha hai
Mera aapki kripa se sab kaam ho raha hai Karte ho tum kanhaiya mera naam ho raha hai
Main to nahi hun kabil tera paar kaise paun Tuti hui vani se gun gan kaise gaun Teri prerana se hi sab ye kamal ho raha hai Karte ho tum kanhaiya mera naam ho raha hai
Mera aapki kripa se sab kaam ho raha hai Karte ho tum kanhaiya mera naam ho raha hai
Jitana diya sarkar ne utani to meri aukat nahi Ye to karam hai mere data ka
Varna mujhme to aisi koi bat nahi Jo bunker hai unaki adaon ka wo ye bat bataye to Kaun hai wo jiske daman me is dar ki khairat nahin Gaur to kar shyam ki tujh par ye kaisi khas inayat hai Das tu unka khas ye mamuli si bat nahi
Mai to nahi hun kabil tara pyar kaise paun Is tuti hui vaani se gungan kaise gaaun teri prerna se hi sab ye kamal ho raha Karte ho tum kanhaiya Mera aapki kripa se sab kaam ho raha hai 2 Karte ho tum kanhaiya mera naam ho raha hai
Radhe -2 govind govind radhe